Saturday, July 13, 2013

Kitni bulandiyon pe hai aiwaan-e-FATIMA (S.A.)




Kitni bulandiyon pe hai aiwaan-e-FATIMA (S.A.)
Rooh-ul-ameen hai surat-e-darbaane-e-FATIMA (S.A.)

Haasil kahaan dimaagh ko irfaan-e-FATIMA (S.A.)
Khuld-e-bareen hai naqsha-e-imkaan-e-FATIMA (S.A.)

Kya sochiye bahar-e-gulistaan-e-FATIMA (S.A.)
HASNAIN (A.S.) jab hon sumbul-o-rehaan-e-FATIMA (S.A.)

Kuchh is liye bhi mujh ko tilaawat ka shauq hai
Quran hai lafz-lafz sana-khwaan-e-FATIMA (S.A.)

Karte firey zameen pe tijaarat bahisht ki
Apne gadaagaron pe hai faizan-e-FATIMA (S.A.)

Is ko mitaa sakengi na baatil ki saazishein
Islaam pe hai saaya-e-damaan-e-FATIMA (S.A.)

_/\_ As-Salaam Ya Saiyadat-un-Nisa  Bibi Fatima-tuz-Zahra (Salamullah Alaiha)








Tuesday, April 16, 2013

Jaari hai do jahaan pe huqoomat Rasool ki - ‘Saghar’ Siddiqui Saheb


Jaari hai do jahaan pe huqoomat Rasool* ki,

Karte hain mehr-o-maah ita’at Rasool* ki;


Imaan ek naam hai hubb-e-Rasool* ka,
Hai khuld ki bahaar muhabbat Rasool* ki;

Nok-e-mizha pe jin ke rahe ashk-e-Karbala
Paayenge hashr mein wo shafa’at Rasool* ki;

Gaar-e-hiraa ko yaad hai sajde Rasool* ke,
Dekhi hai pat’tharon ne ibaadat Rasool* ki;

Damaan-e-aql-o-hosh sahaara na de mujhe
Chaahat khuda ki ban gai chaahat Rasool* ki;

‘Saghar’ tamaam-e-aalam-e-hasti hai be-hijaab
Aankhon mein bas rahi hai wo khalwat Rasool* ki;

~ Faqeer ‘Saghar’ Siddiqui Saheb

*Sallallaho Alaihi Wa Aalehi Wasallam

( Nok-e-mizha = Palkon ki nok pe )

Friday, January 11, 2013

Isaar-o-sabr-o-hilm-o-sakhaawat HASSAN ka naam



Isaar-o-sabr-o-hilm-o-sakhaawat HASSAN ka naam,
Husn-e-sulooq mehr-o-murawwat HASSAN ka naam;

Jo bhaichaara aur muhabbat ka dars de,
Ho kyun na phir saraapa ukhwat HASSAN ka naam;

Ki jis ne jang khanjar-o-talwaar ke bagair,
Deen-e-mubeen ki faham-o-faraasat HASSAN ka naam;


Ahd-e-imaan hai daur-e-sukoon-e-hayaat bhi,
Hai sulah-o-aashti ki hukoomat HASSAN ka naam;

Makr-o-riyaa ke ahd-e-hukoomat mein barmalaa,
Didq-o-safa-o-haq ki siyaasat HASSAN ka naam;

Hai zuhd-o-taqwa aur ibaadat ki aabroo,
ALLAH aur NABI ki itaa’at HASSAN ka naam;

Hasnaat jamaa ho gaye zaat-e-HASSAN mein sab,
Khud ho gaya hai baais-e-shohrat HASSAN ka naam;

Baatil ki zulmaton ne kahaa cheekh cheekh kar,
Beshak hai aaftaab-e-hidayat HASSAN ka naam;

Sulah-e-HASSAN hai partaw-e-sulah-e-Hudaibiya,
Aaina-e-mizaj-e-Naboowat HASSAN ka naam;

Zahar-e-aab pee ke sheereen bayani bataa gayi,
Husn-e-khitaab mein hai halaawat HASSAN ka naam;

Aman-o-salaamati ka payambar hai wo,
Ta-hashr yun  rahega salaamat HASSAN ka naam....!!!!


As-Salaam Ya Imaam Hassan-e-Sabz Qaba (Alaihis Salaam)