Tuesday, May 8, 2012

Dekhein hain sar-e-bazm-e-jahaan maahjabeen aur



Dekhein hain sar-e-bazm-e-jahaan maahjabeen aur
Beshak hai haseenon mein nahin Tumsa koi aur

Mumkin hai ke phir maut na de mohlat-e-sajda
Ek sajda dar-e-yaar pe aye meri jabeen aur

Jo mujhpe gujarti hai wo kis se kahoonga
Juz Tere zamaane mein mera koi nahin aur

Main Tujhse hi mangoonga jo hai maangna mujhko
Ye haath na faila hai na failega kahin aur

Jis haal mein Tu rakhkhe Tera shukr hai waajib
Hum chor ke dar tera na jaaeinge kahin aur

Is sar ke liye mere sanam Tera hi dar hai
Tere liye duniya mein to hain ahl-e-jabeen aur

Main Tujhse hi mangoonga jo hai maangna mujhko
Ye haath na faila hai na failega kahin aur

Jis haal mein Tu rakhkhe Tera shukr hai waajib
Hum chor ke dar tera na jaaeinge kahin aur

Is sar ke liye mere sanam Tera hi dar hai
Tere liye duniya mein to hain ahl-e-jabeen aur

Tamanna thi ki rahte hum kisi ki rahguzar ho kar....


♥♥♥♥@@@@@@@@@@@@@@@@♥♥♥♥

Kaf-e-paa aate-jaate choom lene ko to mil jaate,
Tamanna thi ki rahte hum kisi ki rahguzar ho kar....

♥♥♥♥@@@@@@@@@@@@@@@@♥♥♥♥

Makaan se hai na humko la-makaan se garaz - Hazrat Amir Minaai







Makaan se hai na humko la-makaan se garaz
Jahaan Huzoor milein humko, hai wahaan se garaz

Tumharey jalwe ke mushtaq hain, jahaan bhi naseeb ho
Zameen se kaam na kuchh humko aasmaan se garaz

Tumhari zaat se matlab hai deen-o-duniyaa mein
Na kuchh yahaan se garaz, na kuchh wahaan se garaz

Haram se kaam, na matlab hai dair se humko
Sar-e-niyaz ko hai terey aastaan se garaz

~ Hazrat Amir Minaai R.A.

Monday, May 7, 2012

Muhammad* jisko kahte hain wo janaana humaara hai - Hazrat Syed Ghosi Shah R.A.





Muhammad* jisko kahte hain wo janaana humaara hai
Madeena jisko kahte hain wo maikhaana humaara hai

Humari zindagi mauqoof hai deedaar-e-Hazrat* par
Wo shamma-e-noor-e-Haq hain, haal-e-parwaana humaara hai


Humari aankh mein us shahid-e-wahdat ke jalwe hain
Khuda ka shukr hai Kaaba aaj but-khaana humaara hai

Sadaa deta hai saaqi humein de de ke paimaana
Piyo ta-hashr maston daur-e-paimaana humaara hai

Utarta hai kaheen nash’sha mae-e-hubb-e-Muhammad* ka
Sharab-e-ishq se mamoor maikhaana humaara hai

Khuda ke waste aao zara ab khwaab mein Maula*
Munawwar keejiye, tareek kashaana humaara hai

Mujhe darbaan ne roka, to kahaa Sarkaar* ne hans kar
Isey aane do ye ‘Ghousi’ hai, deewaana humaara hai

~ Az Hazrat Syed Ghosi Shah R.A., Hyderbad 

(*) Sallalaho Alaihe Wa Aalehi Wasallam !!!