Saturday, December 29, 2012

Ik Karbala mein ik mera saaqi Najaf mein hai

 


Tu apne ek jaam pe naazan hai saaqiya,
Chaudah pilaane waale hain, parwaah hai teri kya;
 
 Batlaaye detaa hoon tujhe maikhanon ka pataa,
Batha-o-Kaazimain-o-Khurasaan-o-Saamra;

 
Khursheed-e-mudd’aa meraa burj-e-sharaf mein hai,
Ik Karbala mein ik mera saaqi Najaf mein hai....!!!!!



 

Saturday, November 24, 2012

Aye bahan aaj ki ye raat ganeemat jaano .....



Jab na aada se kisi tarha safaai thahri,
Subh-e-Ashoor-e-Muharram ko laraai thahri ;
Poocha Zainab* ne “kya aye mere Bhaai thahri ?”
Shah* ne farmaaya “Bahan tumse judaai thahri” ;
 
Aaj pyaaron se mulaqaat ganeemat jaano,
Aye bahan aaj ki ye raat ganeemat jaano !!!!

 
* Alaihis Salaam

Thursday, October 18, 2012

Farishte padhte hain Jisko Wo Naam hai Tera - Allama Iqbal

Dargah Nizamuddin Auliya R.A.,New Delhi



Farishte padhte hain Jisko Wo Naam hai Tera,
Badi Janab Teri, Faiz-e-Aam hai Tera

Sitar-e-Ishq ke Teri Kashish se hain qayam
Nizam-e-Mehr ki Surat Nizam hai Tera

Nihan hai Teri Muhabbat mein Range Mahboobi,
Badi hai Shaan, Bada Ehteram hai Tera

~ Allama iqbal ki ghazal Hazrat Mahboob-e-Elahi (R.A.) ki shaan mein.....

Friday, October 12, 2012

Dast-e-Khuda ka qoowat-e-bazoo Hussain hai !!!!!



Dast-e-Khuda ka qoowat-e-bazoo,Hussain hai
Beshak Hassan ka zeenat-e-pahloo,Hussain hai

Khairulwara ka Yousuf-e-khusraw,Hussain hai
Baagh-e-jinaan ke phoolon ki khushboo,Hussain hai

Imaan is ki jaan, ye imaan ki jaan hai
Quran dahan hai aur ye goya zabaan hai !!


(Alaihis Salaam )

Nikhre huey kirdaar ka Quran hai Sajjad




Nikhre huey kirdaar ka Quraan hai Sajjad
Sar-chashma-e-deen azmat-e-imaan hai Sajjad
Taqdeer-e-Ali, azmat-e-Imraan hai Sajjad 
Islaam ki tareekh ka unwaan hai Sajjad 

Ye shaher-e-fazaail hai, masayab ka zahaan hai
Takbeer-e-Naboowat hai, Imaamat ki azaan hai

Insaan ke ehsaas ki meraaj hai Sajjad 
Jazbaat ki taqdeer ka sartaaj hai Sajjad 
Mazloom ki aankhon mein makeen aaj hai Sajjad 
Kab tere mere zikr ka mohtaaj hai Sajjad 

Jab tak hai jahaan mein haq-o-baatil ka fasaana 
Sajjad ke sajdon ko na bhoolega zammana 

Salaam Ya Hazrat Sayade 'Sajjad' Imam Ali ibn Husain Zain-ul-Abideen (Alaihis Salaam) !!!!

Monday, July 2, 2012

Lekin na chutey haath se damaan-e-MUHAMMAD - Asghar Gondawi


Har mauj hua zulf-e-pareeshan-e-MUHAMMAD*
Hai noor-e-sahar soorat-e-khindaan-e-MUHAMMAD*

Kuchh subah-e-azal ki na khabar shaam-e-abad ki
Bekhud hoon tae saaya-e-daaman-e-MUHAMMAD*

Tu seena-e-Siddiq** mein ik raaz nihaan hai
Allah re aye soorat-e-janaan-e-MUHAMMAD*

Chutt jaaye agar daaman-e-kaunain to kya gham
Lekin na chutey haath se damaan-e-MUHAMMAD*

De arsa-e-kaunain mein Ya Rab ! kaheen wus’at
Phir wajd mein hair rooh-e-shaheedan-e-MUHAMMAD*

Bijli ho, mai-o-mehr ho,ya shamm-e-haram ho
Hai sab ke jigar mein rukh-e-tabaan-e-MUHAMMAD*

Aye husn-e-azal apni adaaon ke maze le
Hye saamne aaina-e-hairaan-e-MUHAMMAD*

‘Asghar’ terey naghmon mein bhi hai josh-e-durood ab
Aye bulbul-e-shoreeda bustaan-e-MUHAMMAD*

~ Janaab ‘Asghar’ Gondawi Sahab


(*) Sallalaho Alaihe Wa Aalehi Wasallam
(**) Razi Allaho Anho

Thursday, June 14, 2012

Ye dil Huzoor* pe qurbaan nahin, to kuchh bhi nahin - Hazrat Kamil Shattari Hyderabadi


Ye dil Huzoor* pe qurbaan nahin, to kuchh bhi nahin
Zameer pahle musalmaan nahin, to kuchh bhi nahin

Zabaan se lakh kaho La-ilaaha-ill-Allah
Muhbbat-e-Shah-e-Zeeshaan nahin, to kuchh bhi nahin

Nazaara kaun kare husn-e-zaat-e-waajib ka
Wajood-e-aalam-e-imkaan nahin, to kuchh bhi nahin

Nazar mili hai faqat deed-e-Mustafa* ke liye
Nigaah jalwa badamaan nahin, to kuchh bhi nahin

Khuda naseeb karey sab ko soz-e-ishq-e-Nabi*
Ye aag dil mein farozaan nahin, to kuchh bhi nahin

Chale hain aap ye kiski talaash mein ‘Kaamil’
Jo apne aap ka irfaan nahin, to kuchh bhi nahin

(Salallaho Alaihi Wa Aalehi Wasallam)

~ Hazrat Kaamil Shattari Hyderabadi (R.A.)




Tuesday, May 8, 2012

Dekhein hain sar-e-bazm-e-jahaan maahjabeen aur



Dekhein hain sar-e-bazm-e-jahaan maahjabeen aur
Beshak hai haseenon mein nahin Tumsa koi aur

Mumkin hai ke phir maut na de mohlat-e-sajda
Ek sajda dar-e-yaar pe aye meri jabeen aur

Jo mujhpe gujarti hai wo kis se kahoonga
Juz Tere zamaane mein mera koi nahin aur

Main Tujhse hi mangoonga jo hai maangna mujhko
Ye haath na faila hai na failega kahin aur

Jis haal mein Tu rakhkhe Tera shukr hai waajib
Hum chor ke dar tera na jaaeinge kahin aur

Is sar ke liye mere sanam Tera hi dar hai
Tere liye duniya mein to hain ahl-e-jabeen aur

Main Tujhse hi mangoonga jo hai maangna mujhko
Ye haath na faila hai na failega kahin aur

Jis haal mein Tu rakhkhe Tera shukr hai waajib
Hum chor ke dar tera na jaaeinge kahin aur

Is sar ke liye mere sanam Tera hi dar hai
Tere liye duniya mein to hain ahl-e-jabeen aur

Tamanna thi ki rahte hum kisi ki rahguzar ho kar....


♥♥♥♥@@@@@@@@@@@@@@@@♥♥♥♥

Kaf-e-paa aate-jaate choom lene ko to mil jaate,
Tamanna thi ki rahte hum kisi ki rahguzar ho kar....

♥♥♥♥@@@@@@@@@@@@@@@@♥♥♥♥

Makaan se hai na humko la-makaan se garaz - Hazrat Amir Minaai







Makaan se hai na humko la-makaan se garaz
Jahaan Huzoor milein humko, hai wahaan se garaz

Tumharey jalwe ke mushtaq hain, jahaan bhi naseeb ho
Zameen se kaam na kuchh humko aasmaan se garaz

Tumhari zaat se matlab hai deen-o-duniyaa mein
Na kuchh yahaan se garaz, na kuchh wahaan se garaz

Haram se kaam, na matlab hai dair se humko
Sar-e-niyaz ko hai terey aastaan se garaz

~ Hazrat Amir Minaai R.A.

Monday, May 7, 2012

Muhammad* jisko kahte hain wo janaana humaara hai - Hazrat Syed Ghosi Shah R.A.





Muhammad* jisko kahte hain wo janaana humaara hai
Madeena jisko kahte hain wo maikhaana humaara hai

Humari zindagi mauqoof hai deedaar-e-Hazrat* par
Wo shamma-e-noor-e-Haq hain, haal-e-parwaana humaara hai


Humari aankh mein us shahid-e-wahdat ke jalwe hain
Khuda ka shukr hai Kaaba aaj but-khaana humaara hai

Sadaa deta hai saaqi humein de de ke paimaana
Piyo ta-hashr maston daur-e-paimaana humaara hai

Utarta hai kaheen nash’sha mae-e-hubb-e-Muhammad* ka
Sharab-e-ishq se mamoor maikhaana humaara hai

Khuda ke waste aao zara ab khwaab mein Maula*
Munawwar keejiye, tareek kashaana humaara hai

Mujhe darbaan ne roka, to kahaa Sarkaar* ne hans kar
Isey aane do ye ‘Ghousi’ hai, deewaana humaara hai

~ Az Hazrat Syed Ghosi Shah R.A., Hyderbad 

(*) Sallalaho Alaihe Wa Aalehi Wasallam !!!