Thursday, June 14, 2012

Ye dil Huzoor* pe qurbaan nahin, to kuchh bhi nahin - Hazrat Kamil Shattari Hyderabadi


Ye dil Huzoor* pe qurbaan nahin, to kuchh bhi nahin
Zameer pahle musalmaan nahin, to kuchh bhi nahin

Zabaan se lakh kaho La-ilaaha-ill-Allah
Muhbbat-e-Shah-e-Zeeshaan nahin, to kuchh bhi nahin

Nazaara kaun kare husn-e-zaat-e-waajib ka
Wajood-e-aalam-e-imkaan nahin, to kuchh bhi nahin

Nazar mili hai faqat deed-e-Mustafa* ke liye
Nigaah jalwa badamaan nahin, to kuchh bhi nahin

Khuda naseeb karey sab ko soz-e-ishq-e-Nabi*
Ye aag dil mein farozaan nahin, to kuchh bhi nahin

Chale hain aap ye kiski talaash mein ‘Kaamil’
Jo apne aap ka irfaan nahin, to kuchh bhi nahin

(Salallaho Alaihi Wa Aalehi Wasallam)

~ Hazrat Kaamil Shattari Hyderabadi (R.A.)