Saturday, July 13, 2013

Kitni bulandiyon pe hai aiwaan-e-FATIMA (S.A.)




Kitni bulandiyon pe hai aiwaan-e-FATIMA (S.A.)
Rooh-ul-ameen hai surat-e-darbaane-e-FATIMA (S.A.)

Haasil kahaan dimaagh ko irfaan-e-FATIMA (S.A.)
Khuld-e-bareen hai naqsha-e-imkaan-e-FATIMA (S.A.)

Kya sochiye bahar-e-gulistaan-e-FATIMA (S.A.)
HASNAIN (A.S.) jab hon sumbul-o-rehaan-e-FATIMA (S.A.)

Kuchh is liye bhi mujh ko tilaawat ka shauq hai
Quran hai lafz-lafz sana-khwaan-e-FATIMA (S.A.)

Karte firey zameen pe tijaarat bahisht ki
Apne gadaagaron pe hai faizan-e-FATIMA (S.A.)

Is ko mitaa sakengi na baatil ki saazishein
Islaam pe hai saaya-e-damaan-e-FATIMA (S.A.)

_/\_ As-Salaam Ya Saiyadat-un-Nisa  Bibi Fatima-tuz-Zahra (Salamullah Alaiha)








Tuesday, April 16, 2013

Jaari hai do jahaan pe huqoomat Rasool ki - ‘Saghar’ Siddiqui Saheb


Jaari hai do jahaan pe huqoomat Rasool* ki,

Karte hain mehr-o-maah ita’at Rasool* ki;


Imaan ek naam hai hubb-e-Rasool* ka,
Hai khuld ki bahaar muhabbat Rasool* ki;

Nok-e-mizha pe jin ke rahe ashk-e-Karbala
Paayenge hashr mein wo shafa’at Rasool* ki;

Gaar-e-hiraa ko yaad hai sajde Rasool* ke,
Dekhi hai pat’tharon ne ibaadat Rasool* ki;

Damaan-e-aql-o-hosh sahaara na de mujhe
Chaahat khuda ki ban gai chaahat Rasool* ki;

‘Saghar’ tamaam-e-aalam-e-hasti hai be-hijaab
Aankhon mein bas rahi hai wo khalwat Rasool* ki;

~ Faqeer ‘Saghar’ Siddiqui Saheb

*Sallallaho Alaihi Wa Aalehi Wasallam

( Nok-e-mizha = Palkon ki nok pe )

Friday, January 11, 2013

Isaar-o-sabr-o-hilm-o-sakhaawat HASSAN ka naam



Isaar-o-sabr-o-hilm-o-sakhaawat HASSAN ka naam,
Husn-e-sulooq mehr-o-murawwat HASSAN ka naam;

Jo bhaichaara aur muhabbat ka dars de,
Ho kyun na phir saraapa ukhwat HASSAN ka naam;

Ki jis ne jang khanjar-o-talwaar ke bagair,
Deen-e-mubeen ki faham-o-faraasat HASSAN ka naam;


Ahd-e-imaan hai daur-e-sukoon-e-hayaat bhi,
Hai sulah-o-aashti ki hukoomat HASSAN ka naam;

Makr-o-riyaa ke ahd-e-hukoomat mein barmalaa,
Didq-o-safa-o-haq ki siyaasat HASSAN ka naam;

Hai zuhd-o-taqwa aur ibaadat ki aabroo,
ALLAH aur NABI ki itaa’at HASSAN ka naam;

Hasnaat jamaa ho gaye zaat-e-HASSAN mein sab,
Khud ho gaya hai baais-e-shohrat HASSAN ka naam;

Baatil ki zulmaton ne kahaa cheekh cheekh kar,
Beshak hai aaftaab-e-hidayat HASSAN ka naam;

Sulah-e-HASSAN hai partaw-e-sulah-e-Hudaibiya,
Aaina-e-mizaj-e-Naboowat HASSAN ka naam;

Zahar-e-aab pee ke sheereen bayani bataa gayi,
Husn-e-khitaab mein hai halaawat HASSAN ka naam;

Aman-o-salaamati ka payambar hai wo,
Ta-hashr yun  rahega salaamat HASSAN ka naam....!!!!


As-Salaam Ya Imaam Hassan-e-Sabz Qaba (Alaihis Salaam) 













Saturday, December 29, 2012

Ik Karbala mein ik mera saaqi Najaf mein hai

 


Tu apne ek jaam pe naazan hai saaqiya,
Chaudah pilaane waale hain, parwaah hai teri kya;
 
 Batlaaye detaa hoon tujhe maikhanon ka pataa,
Batha-o-Kaazimain-o-Khurasaan-o-Saamra;

 
Khursheed-e-mudd’aa meraa burj-e-sharaf mein hai,
Ik Karbala mein ik mera saaqi Najaf mein hai....!!!!!



 

Saturday, November 24, 2012

Aye bahan aaj ki ye raat ganeemat jaano .....



Jab na aada se kisi tarha safaai thahri,
Subh-e-Ashoor-e-Muharram ko laraai thahri ;
Poocha Zainab* ne “kya aye mere Bhaai thahri ?”
Shah* ne farmaaya “Bahan tumse judaai thahri” ;
 
Aaj pyaaron se mulaqaat ganeemat jaano,
Aye bahan aaj ki ye raat ganeemat jaano !!!!

 
* Alaihis Salaam

Thursday, October 18, 2012

Farishte padhte hain Jisko Wo Naam hai Tera - Allama Iqbal

Dargah Nizamuddin Auliya R.A.,New Delhi



Farishte padhte hain Jisko Wo Naam hai Tera,
Badi Janab Teri, Faiz-e-Aam hai Tera

Sitar-e-Ishq ke Teri Kashish se hain qayam
Nizam-e-Mehr ki Surat Nizam hai Tera

Nihan hai Teri Muhabbat mein Range Mahboobi,
Badi hai Shaan, Bada Ehteram hai Tera

~ Allama iqbal ki ghazal Hazrat Mahboob-e-Elahi (R.A.) ki shaan mein.....

Friday, October 12, 2012

Dast-e-Khuda ka qoowat-e-bazoo Hussain hai !!!!!



Dast-e-Khuda ka qoowat-e-bazoo,Hussain hai
Beshak Hassan ka zeenat-e-pahloo,Hussain hai

Khairulwara ka Yousuf-e-khusraw,Hussain hai
Baagh-e-jinaan ke phoolon ki khushboo,Hussain hai

Imaan is ki jaan, ye imaan ki jaan hai
Quran dahan hai aur ye goya zabaan hai !!


(Alaihis Salaam )