Har mauj hua zulf-e-pareeshan-e-MUHAMMAD*
Hai noor-e-sahar soorat-e-khindaan-e-MUHAMMAD*
Kuchh subah-e-azal ki na khabar shaam-e-abad ki
Bekhud hoon tae saaya-e-daaman-e-MUHAMMAD*
Tu seena-e-Siddiq** mein ik raaz nihaan hai
Allah re aye soorat-e-janaan-e-MUHAMMAD*
Chutt jaaye agar daaman-e-kaunain to kya gham
Lekin na chutey haath se damaan-e-MUHAMMAD*
De arsa-e-kaunain mein Ya Rab ! kaheen wus’at
Phir wajd mein hair rooh-e-shaheedan-e-MUHAMMAD*
Bijli ho, mai-o-mehr ho,ya shamm-e-haram ho
Hai sab ke jigar mein rukh-e-tabaan-e-MUHAMMAD*
Aye husn-e-azal apni adaaon ke maze le
Hye saamne aaina-e-hairaan-e-MUHAMMAD*
‘Asghar’ terey naghmon mein bhi hai josh-e-durood ab
Aye bulbul-e-shoreeda bustaan-e-MUHAMMAD*
~ Janaab ‘Asghar’ Gondawi Sahab
(*) Sallalaho Alaihe Wa Aalehi Wasallam
(**) Razi Allaho Anho